Sultan Mahmoud gaznvi aor aik chakor ka waqia

0
Khate hain ke agar aap ka dost aap se naraz ho kar aap ke doshmano se mil jaye to doshmano ko chord kar pahle us dost ko maar do.
Jo doshman ki saff main khrda ho gia ho kahte hain ke sultan Mahmoud gaznvi ke pas aik Banda  aik chakor laya  jis ki aik tang ni thi.
Sultan Mahmoud gaznvi ne jab us ki price pochi to us shaks ne us ki bhot ziyada qimat batai.
Sultan Mahmoud gaznvi ne heran ho kar pocha ke is ki aik tang bhi ni hai phr bhi is ki itni ziyada price kiyon hai.
 Is par us chakor ke Malik ne kha ke jab bhi main shekar karne jata hon to main is ko sath le jata hon.
 Aor jangal main ja KR main is ko chord deta yeh aesi awazen nikalta hai ke jis se jangal ke kafi chakor is ke pas aa jate hain Jin ko ham asani se ham shikar Kar lete hain.
 Aor bad main ham is ko bhi pkrd kar sath le ate hain.
 Isi wjhan se yeh itna mhnga hai, 
 Sultan Mahmoud gaznvi ne jab yeh baat Soni to unho ne us ki monh mangi qemat us ko de di us ne sultan Mahmoud gaznvi ke hawale kar dia.
 Sultan Mahmoud gaznvi ne us ki usi time talwar se garden urda dii.
 Is par us bande ne sultan Mahmoud gaznvi se pocha aap ne aesa kiyon kia to is par sultan Mahmoud gaznvi ne kha ke Joo apno ke sath bagwat kre us ki yahi saza honi chaye.
 
Tags

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)