Assalam-O-Alaikum
Dear friends main umeed krta hon ke Aap Sab khariyat se hon Ge.
Aaj ke is article me main Aap ko bataon ga ke Apne Facebook ads band account ke bare ke Aap us ko kis trhan se recover kar sakte hain.
To agr Aap mere blog par new Hain to comment zaror kar Dena ke Aap Khan Se ho.
Chalen main Aap ko main topic ki tarf Le chalta hon.
Friends yeh bhot he serious case hai Aap me se aksar Ne is problem ka samna kia ho ga.
Jab bhi Aap Apne Facebook page par add run krna chate Hain to wo run ni ho pata pata chalta hai Ke Aap ke Facebook ads account par restrictions lagi hoi hai jis ki wajhan Se Aap add nahi run kr sakte.
Ya Aap ka add chal rha hota hai to beach Main add restrictions lag jati hai jis ki wajhan Se Aap ka adds ruk jata hai.
Halanke Aap Ne us ki payment bhi ki Hoti hai lakin phr bhi wo run nhi hota.
Kuch step clear kr deta hon Aap ke Sath.
1.sirf aap he nahi Hain Jis ka Facebook ads account band Howa hai yeh taqriban bhot ziyada logon ko problem ka samna krna prdta hai.
Is main hota yeh hai Ke Aap se koi na koi violation Hoti hai jis ki wajhan Se yeh problem Aati hai.
2.aap ko jab pata chalta hai ji ke Aap ka account band ho GIA hai to Aap Ne Sab pahle us ka reason dhondna hai Ke kis wajhan Se Aap ke Facebook ads account par restriction ai hai.
Friends reason Janna bhot zarori hai reason Aap ko Khan par mile ga reason Aap ko notifications wali bar main mile ga.
Aap jab wahan Jao ge to Aap ko pata chal jaye ga keh Aap se Kon violation hoi hai Aap us ko phr us ke hesab Se Apne account ko recover kar sakte ho.
3. reviwe Advertise Karna.
Aap jab bhi apna koi bhi add run krna chate Hain to Sab se pahle Aap Ne Facebook advertise ki policy ko lazmi read krna hai jis ko read krne se Aap ko andaza ho jai ga ke Aap Kon sa add run kar sakte hain.jis ki wajhan Se Aap ko problem nhi aae gi.
4.aap jab add run karte Hain to Aap ke Jo multiple adds hote Hain un par Aap payment
Ko pay Karte rha Karen jis Se Aap ke account ki Jo health hai wo kafi achi rahti hai agr
Ki multiple adds ki payment fail hone lag jai ya some time eshow ane lag jai to Aap ka account hamesha ke Liye ban ho sakta hai.
5.agr Aap ke pas koi policy violation AaTI hai to Aap us ko curact Karen.
Facebook adds account ki jitni bhi policy Hain taqriban 20 se 25 Hain un ki dekhen Aap check Karen ke Jo Aap adds run krna chate Hain wo kahen copy to ni kia Howa content image ho Gai video ho Gai yeh copy na ki hoi ho.
aap ka add jitni bhi policy's un ke hesab Se ho.
Facebook ke pas (2 tow) billion plus users hain jin ke samne Aap add run hona hai Facebook yeh bilkul bhi nahi chata ke Aap ke adds ki wajhan Se Kisi user ko pareshani ka samna krna parade.facebook yeh hargiz nahi chata ke Kisi ke Sath sacame kro ya Kisi ko FAQ news do Aap jis ki wajhan Se user us platform SE guse ho aor us ko chord de.
Yahan par Aap Ne 1 cheez ka dhiyan rakhna hai ke agr Aap se policy ki violation ho jati hai to us solve Karen us check Karen us ko theek honi main Kam SE Kam 24 hours lag sakte hain us se Kam time men bhi theek ho sakti hai aor ziyada time bhi lag sakta hai.