Asslam-O-Alaikum
Friends main umeed karta hon ke aap sab khariyat se hon gai.
aaj ke is blog me main aap ko baton
ga ke aap apne you tube channel par view kis tarhan se la sakte hain.
Friends hota
kuch yon hai ke aap jab bhi you tube par video upload karte hain to aap baar
yeh check karte hain ke us ke oopar view aye hain ya nahi.
Aap baar baar
us page ko refresh karte hain ke shayad koi view aa he gia ho.
Lakin aesa
nahi krna chaiye aesa karne se views nahi brdhte.
Yeh har new
youtuber karta hai 40 ya 50 views ke bad jab views nahi aate tab aesa karta
hai.
Friends aap
ne you tube studio app ke andar ja kar yeh three kam karne hain jin se insha
Allah aap ke views zaror brdhna start ho jayen ge.
Sab se pahle
aap ne youtube studio aap ko open kar lena hai open karne ke bad aap ne aa jana
hai Analytics main an ke bad aap ne teen chezon ka dihyan rakhna hai.
Aap jaise he
analytics par click Karen ge to aap overview par aa jayen ge lakin aap ne
content ke opar click karna hai.
Content ke
opar ane ke bad hain wo three setup jin ke bary main aap sekhen ge.
1.Impressions.
Impressions kia
hota hai ke aap jab you tube open karte hain to aap ke samne jitni videos show
ho rahi hoti hain un ka aik aik impression account ho raha hota hai.
Yeh impression
tab he jaa kar brdhte hain jab aap ka thumbnail acha ho ga.
2.
Impressions click through rate.
Impression through
rate asal main hota hai CTR is ka matlab hai ke kitne clicks aa rahe
hain aap ke thumbnail par is murad yeh
hai jitna acha aap ka thumbnail hoga utne he ziyada clicks ayen ge.
Koshish Karen
ke thumbnail ache acha banyen is se aap ka CTR brdhe ga.
Jab aap ka
CTR brdhta hai tab aap ke automatically aap ke impression brdhna start ho jaye
ga.
3.
Average view Duration.
Average view
duration ka matlab hai ke aap ki video kitni dekhi jaa rahi hai agar aap ki five se six mints video three mints tak dekhi
jati hai mtlib ke aap ke subscriber hain 1500 kar len ya ziyada kar laen us
main 500 logon ne ya ziyada logon ne dekhi hai 3 mints tak to you tube aap ki
video ko aage viral kare ga khod ba khod.
Ab main aap
ko yeh bata deta hon aap ke aap ne apni video ke opar audinse ko kaise rokna
hai to aap ne apni video ko step by step cover krna hai mtlb start main aap ne
batana hai keh kia aap baat karne wale hain kia aap ka topic hai us ke bad aap
ne 2nd step main aap ne batana hai keh aap ko is video ko dekhne se
kia kuch hasil hone wala hai kia aap sekhne waly hain 3rd main aap
ne batana hai keh agr aap ki video koi bech main chord kar ja raha hai to us ko
kia nuqsan hone wala hai.
Matlb aap ki
3 step jo hain un ke bare main aap ne short
video banana hai jo aap ki video main frst par show ho matlab yeh keh
aap ny jitni bhi video bani hai us ka aik trailer bnana hai jo taqreban 2 se 3 mints ka lazmi
hona chaiye us ke bad aap ki video start honi chaiye.
Mian umeed
krta hon keh is article se zaror aap ko kuch sekhne ko mila ho ga agr article
aap ko acha laga hai to is share zaror kar dijye ga.