Asslam-O-Alaikum
Aaj ke is
blog me main aap ko baton ga ke aap agr blogging, krte hain ya aap ka YouTube
par channel hai. To aap ko ik problem ka samna zaror krna prdta ho ga ke aap ko
trending topic khan se laaen jis par aap apna article ya video record Karen.
Us ke liye
aap ko is article ko start se le kar and tak prdna ho ga tab he ja kr aap ko
samjh aye gi.
Viral aor trending
topic ka yeh he ni matlab ke aap us par video ya article likho aor viral ho
jao.
Bina viral
topick par agar aap video ya article likhte rhain us main kam chance hain aap
ke viral hone main.
Agar aap
trending keyword par article ya video bnain ge to bhot ziyada chance hain aap
ke viral hone ke.
Viral Topic se aap ko is baat ka pata chal jaye ga ke is
waqat kis cheez ki demand hai dunia main.
Acha aap ko
krna yeh hai niche jo English main likha how hai main aap 15 ki jagh kuck aor
bhi likh sakte matlab aap kam ya ziyada bhi kar sakte hain aor us ke bad aap ne
apni country select kr leni hai main Pakistan se hon is liye main ne Pakistan likha
hai.
Us ke bad
aap ne jis topic ko search krna chate hain us ko likhna hai. main ne digital marketing
likaha howa hai aap apni marzi se likh len.
Suggest
to me the top 15 most searched YouTube video topics in Pakistan if my You Tube channel
has digital marketing videos.
2. perplexity
Whan par
phale aap ne apna account create kar lena hai account create karne ke bad aap
ne us ke andar yeh jo aap ne copy kia tha is ko past kr dena hai aor apni marzi
se is main aap ne changing kar leni hai.
Yeh 2 platform aap ko main ne bata diye hain
in main aap jo chaen marzi se apna tranding topic search kr sakte ho koshish Karen
ke dono main bari bari search kar len is se aap ko fida ziyada ho ga.
Aap direct
google par bhi search kar sakte hain lakin in dono par lazmi visit kar ke aap
ne conform krna hai.
Google
Gemini aor Perplexity in main se aap ko jo search result milen aap ne un ko copy kar lena hai
copy karne ke bad aap ne you tube par chale jana hai you tube par aap ne us
keyword ko search baar main paste krna hai jo aap ne google Gemini se ya
perplexity se copy kia tah
Past karne ke bad aap ne filter par click kr dena hai. Us
ke bad aap ne this month par click kar dena hai.
This month ke ooper click karny ke bad pihr se aap ne
filter ke ooper click krna hai us ke bad aap ne view account ke ooper click kr
dena hai.
Ab aap ko yhan par yeh pata lag jaye ga keh yeh kab kisi
ne video dala hai aor us ko kitne view aye hain aap ne whan sy 3 ya 4 videos
watch krni hain un ko smjhna hai kin kin point ko unhon ne mis kia hai yaa aap
ne kon kon se point ko aad krna hai.
un ki description aor title ko dekhen aor tags ko add
kren apni videos main yeh to tah you tube video ke liye ab aap apne website ko
kaise rank krna hai.
Us ke lie taqreban tariqa same he hai bas thordi si aap
ko changing krni hai.
Suggest
to me the top 15 most searched topics on
Google in Pakistan if my website niche has
digital marketing.
Is ko copy Karen aor Google Gemini aor Perplexity main jayen whan se keyword find Karen aor
us keyword ko Google main past kren aor search Karen whan se top pe jo websites
aa rahi hani un ke article ko pardhen un ke mis point note kr ke apna article
likh kr publish kar dein.
Jis se aap ke rank hone ke chance ziyada hon ge.
Main umeed karta hoon ke ye article aap ko acha laga ho
ga agr acha laga hai to is ko share kar den. Agr kisi baat ki samjh ni ai to
aap comint box main poch sakte hain ya koi apni rai dena chate hain to bhi
commint kar den.