Agar aap khud ko nalaiq samajte hain to thehren pehlay is post ko parh len kya pata aap mein bhi woh quality mojood ho jo aik aqalmand ensaan mein hoti hai.

1
Asslam-o-alaikum dostoo
aaj ki is post mein hum baat karen ge zahanat ke baray mein agar aap ke andar yeh chand alamaat mojood hain to aap bhi zaheen hain.meri aap se guzarish hai, ke is post ko end taq parhay ga kyunkay kya pata aap mein bhi zahanat wali koi na koi quality mojood ho in main sy.

Baar baar jhapke aur choti choti neend lena.

Frequent naps.

science danon naay aik tehqeeq mein kaha ke agar aap din mein baar baar jhapke letay hain aur chotti chotti neend letay hain to aap bhi zaheen logon mein se aik hain science daan kehte hain ke chotti chotti neend lainay se dimagh ko sukoon milta hai, chotti chotti neend lainay se dimagh tandrost rehta hai aur aap ki zahanat mein bhi izafah hota hai. kam neend lena insaan ke liye bohat khatarnaak ho sakta hai is liye is duniya mein jitne bhi barray barray geniuse log guzray hain woh chotti chotti neend liya karte thay.
yeh log chotti chotti neend ko power nip keh kar bulatay thay.
Nicola Tesla and Thomas Erzan do aisay geniuse they jo power nip lainay ki taraf daari kya karte they.
un ka maanna tha ke kaam ke douran 20 minute ki neend ka lena dimagh ko restart karta hai, aur dimagh ko recharge karta hai.
jis se kaam ke oopar fox karne mein bohat madad millti hai.

Doodling.

sab se pehlay main aap ko bta dun ke doodling kya hoti hai is ka matlab jab ke  kisi insaan ko koi kaam diya jaye woh usay karne ki bajaye haath mein pencils aur copy le kar aisay hi us ke oopar kuch nah kuch banana shuru kar deta hai aisa karne ko doodling kaha jata hai aam tor par log jab aisa karne walay shakhs ko dekhte hain to woh is ko nikamma aur aalsi kehte hain jabkay reserch ki manen to reserch kehti hai ke un ka aisa karne se un ki genies honay ki nishani hoti hai.
asal mein jab risrchr naay aisay logon ka test kya aur is par kaha ke un logon mein aam insanon ki nisbat ziyada samajhney aur kisi cheez ko yaad rakhna logic dhondhna prablm ko hal karna ki salahiyat aam logon se ziyada hoti hai. is ke sath hi class room conference room mein fox rehne ki salahiyat ziyada hoti hai.
united kingdom ki reserch hai Jackie Andrade ne jab doodling karne walay logon ki memory ka test kya to inhen chonkanay wala nateeja mila kyunkay doodling karne walay dosray aam logon se 29 feesad ziyada yaad rakhnay ki salahiyat rakhtay hain.

Being messy.

aap nay aksar filmon, dramon, programme mein dekha hoga ke un mein jab bhi kisi genies ko dikhaya jata hai to woh aik ajeeb se mahol mein hota hai misaal ky tor par in mein se kuch bhi hota hai daarhi ke baal barray ya is ke ajeeb kapray sir ke baal bikhre hue ya is ke room mein be tarteeb cheezian pari hui hoti hain bohat saaray log aisa kehte hain ke yeh sirf filmon mein dekha jata hai.
jabkay haqeeqat mein aisa kuch bhi nahi hota
lekin is reserch ki manen to yeh aap ki genies honay ka signs ho sakta hai.
kyun ke kuch arsa pehlay university of minnesota mein reserch ny aam achi aadaat walay aur is terhan ki harkatein karne walon ka test liya.
un ko yeh kaha gaya ke papers mein kuch naye naye ideas likhnay hain to risrchr ny paaya ke jo aam stodnts se different tareeqa se stodnts rehtay hain un ke ideas aam stodnts se kayi gina behtar they.
yani ajeeb tareeqay se zindagi busr karne walay genies ho satke hain.

Blue eyes.

neelee ankhen waisay hi sab ko pasand hain kyunkay jis ki neelee ankhen hoti hain woh aam logon se ziyada khobsorat hota hai aur neelee ankhen is ki khoubsurti mein izafah karti hain.
agar risrchr ki manen to aap ki neelee ankhen aap ke genies dimagh ki nishani hosakti hain kyunkay science daan kehte hain parhai likhai ke muamlay mein brown aankhon walay insanon se neelee ankhen walay ziyada zaheen hotay hain.

talking to yourself.

yeh parhnay se shayid aap ko kaafi ajeeb lag raha hoga ke khud se baat karne se kaisay koi genies ho sakta hai. kyunkay hum aksar pagal logon ko hi aisa karte daikthay hain lekin experts ki agar manen to experts kehte hain ke jo log tanhai mein khud se batten karte hain woh dosray logon se ziyada samajh daar aur allag soch rakhnay walay hotay hain.
kyunkay jab ensaan kisi cheez ke baray mein ziyada sochta hai to woh is ke dimagh mein store ho jati hai.

stay up late at night.

log kehte hain ke raat ko jaldi so jana aur subah jaldi uthnay se insaan sahet mand tandrost rehta hai jab ke science daan kehte hain ke jo log raat ko ziyada der tak jagtay hain, un ka IQ level ziyada hota hai un ki nisbat jo raat ko jaldi so jatay hain aur subah ko jaldi uthte hain.

having less friends.

filmon television dramon programon mein dekha jata hai ke jo genies log hotay hain un ke ya to friends hotay he nahi hain ya agar hotay hain to bohat kam hotay hain woh ziyada tar akela rehna hi pasand karte hain science daan kehte hain ke hum naay kayi jaghon par tehqeeq ki hai ke jo shakhs akela rehna pasand karta hai woh aam logon ki nisbat ziyada zaheen hota hai.

like to eat chocolate.

chocolate ka ziyada pasand karne walay bhi zaheen ho satke hain yeh baat sach hai ke is par risrchr ny study  ke yeh pata lagaya ke chocolate khanay se hamara dimagh taiz hota hai aur study mein Taah paaya gaya chocolate lagataar khanay se chocolate hamaray dimagh ko bost karti hai yahi nahi balkay hamesha barqarar rakhnay mein madad karti hai.

lunula.

unglio ke nakhunon mein banay safaid nishaan aap logon naay dekha hoga ke kuch logon ki unglio ke jo naakhun hotay hain un mein safaid nishaan mojood hota hai science daan kehte hain ke ensaan ke zaheen honay ki kuch nishanain ensaan ke shareer mein mojood hoti hain isi terhan ensaan ki unglio mein safaid rang ka chaand ka hona bhi yeh saabit karta hai ke aap bhi zaheen hain.
aur science daan kehte hain ke jis insaan ky yeh nishaan barray hotay hain woh insaan ziyada zaheen hota hai.
is ke elawa aik chinese science daan ne kaha hai aisay nishaan se insaan ki sehat ka andaza lagaya ja sakta hai.

Swearing too much.

bohat ziyada kasmain khana science daan kehte hain bohat ziyada kasmain khanay walay ka hargiz yeh matlab nahi hai ke woh kamzor aur kam aqal hai balkay yeh is ky high IQ level honay ki nishani hai.
 lekin is ka yeh bhi matlab nahi ke baat baat par kasmain khanay wala zaheen hota hai. kyunkay aisa har aik ensaan ke sath nahi hota.lekin study ke inhisaar ziyada jo is terhan ke log hotay hain woh aqal mand hi hotay hain.
umeed karta hon ke aap ko yeh post kaafi informative lagi hogi to mujhe comment kar ke zaroor bataiye ga.

Tags

Post a Comment

1Comments
Post a Comment