sab se pehlay aap ne Google search console ko open karna hai,
wahan par aap ne apni Website ko add karna hai. aap ne apni blog ka URL copy karna aur search console mein URL ko add kar dena hai. phir aap ne apne blog ka sitemap sabmit karna hai is ke liye.
Google search console mein sitemap par aa jana hai, jahan par add ae new sitemap likha hai is ke neechay aap ko apna URL nazar aa raha hoga is ke agay sitemap. xml likhna hai. agar aap ki Website ka link show ho raha hai to is ke agay aap ne is ko likh kar submit karna hai nahi to aap ne apni Website ka URL bhi sath likhna hai is terhan se.
Https://www.ji4you.com/sitemap.xml
likh kar submit karen.
is ke baad aap ne apna blog open karna hai open karne ke baad aap ne blog ki settings mein aa jana hai anay ke baad aap ne is par aa jana hai.
Crawlers and indexing.
is ke neechay likha hai,
Enable custom robots.txt
is ko aap ne on kar dena hai is ke baad aap ne,
Custom robots.txt
par click karna hai is ke andar aap ne is code ko paste karna hai.
User-agent: *
Disallow: /search
Allow: /
Sitemap: https://www.ji4you.com//sitemap.xml
is ko paste karne ke baad aap ne jahan par yeh mera URL likha hwa hai is ki jagah aap ne apna URL likhna hai aur is ko aap ne seve kar dena hai.
is ke baad aap ne neechay.
Enable custom robots header tags
is ko aap ne on kar dena hai.
is ke neechay aap ne home page tags par click karna hai is par click karne ke baad aap ne sirf do hi option ko on karna hai aik all aur noodp baqi sab ko aap ne isi haalat mein chore dena hai aur seve par click kar dena hai, is ke bad aap ne is par click karna hai.
Custom robot tags for archive and search pages
is par click karne ke baad bhi aap ne all aur noodp ko on karna hai baqi ko off hi rehne dena hai aur seve par click kar dena hai.
is ke baad aap ne is par aajana hai,
Custom robot tags for posts and pages
is par click karne ke baad aap ne all aur noodp ko hi on karna hai aur seve kar dena hai.
Ummid hai aapko ye article (Google search console mein blogger Website ko add karna aur blogger ki setting tabdeel karna.) informative laga ho. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain.
Amazing sir,You have solved my problem.Thanku
ReplyDeleteSir please please google analytics ko add krny Kay treeky Kay bary main b post likhain
ReplyDelete